Urdu Heart Broken Shayari - 2 line Urdu Sad Poetry by Usama Shayari

khizan kaa dhoor teri be rukhi ko kehty hain
bahar teri tuwaju ka name hai....................

roz a mashir pata chaly ga humein
kis ny kitna kis ko chaha tha


ye cigraate ka waqt hai sahib..............
mohabbat pr tabsary baad mein krein gy

wo jitni towaju apny ballo pr deti hai
kash itni towaju wo meri baton pr deti


siya laalela bhi majno ko nhi di duniya
tumri wali ki to rangat to khasi behtr hai

chaye ki khusboo pr kheechy chaly aen gy
wo log bi jo ajkal masroof hain

jis kay hathon sy tu hath churah lay apna
nabaz chalti bi rhy insan kahan bachta ha


pehly isko lagana hai galy apny
phir sary masly py baat krni hai

jab se tujko dekha hai
meri ankhon py log mrty hain


choro dafa karo ghareb hai miyan mat dekh
yahan dekh wahan dekh bas haqeeqat mat dekh

wo mery jism mein behta hai, khoon ki manad
ab is sy ziyada osy aur kia rasai doon?

aye rab do jahan tery is jahan mein
kosis k bawajod mera dil nhi laga

bakhas dena ishaq mein hamari ghustakhiyan
dill qabu mein nahi to hum kiya krein

matlab ky bagiar rabtay mein rehna
har kisi ky bas ki baat nhi hoti

nahi tha eitbar isko meri mukhasi pr
khoo diya is ny mujy azmaty azmaty

log kehty hain hain tum boht badal gy ho
btao tooty huey patty ab rang b na badlein

un ky lab aur phir wafa ki qasam
hye...kiya qasam thi khuda ki qasam

ik tum hi na mil saky warna
milny wly bichar bichar kar mily

dhodney sy bi nhi milean gy hum
galti say bi agar kho diya tum ny

ajkal koi qabal a barosa nhi 
jis pr barosa karo wohi das leta ha

rabton mein had achi hoti hai 
mein to osky peachy hi par gaya tha

ap hans sakty hain sahib
ap pr guzri jo nahi hai

munafaqon ko boht qareeb sy dekha hai mein ny
yaqeen manoo bary hi ba adab hoty hain........

zamna kehta hai bari dil kash hai meri ankhein
unein kiya maloom mera yaar basa hai in mein

mohabton ky adi log lahijoon ki
sakhteiyan bardast nahi kar sakty

tum jis ky ho abi inky baray batana
kiya ata hai inko tumein chup karana

tery muskarany ka asar sehat pr hota hai
log pochty lety hain dua ka name kiya ha

teri yaad ki barish jab bhi barasti hai
mein toot sa jata hun kisi kachy makan ki tarh

isko pasand hain mery hathon ki ungliyan
phir mujko ko pasand is ky hathon mein apna hath

wo mujy chor gaya mery zawaal sy pehly
haseen to tha hi, zaheen kitna tha

andhi mohabat ho ya andha atamad dono mil
kar insan ko gharai mein ghira dety hain

choom loon tery hath, dil ki yehi khuwaish hai
baat yeh meri nhi, pyaar ki farmish hai

apny chehray pr yoon odaasi mat laya karo
yeh dil pagal hai dhrakna chor deta hai

bas barosa nah torna mera
baqi har baat seh jaoun gyi

mein to aam sy shakal ki larki hoon
tum akaas pr waari waari jaty hoo

karny hain agar shikway mehbob sy wasi
phir chor dy mohabbat koi aur kaam kaar

wafaein to khoon mein hoti hain sahib
insan to sab maati k hooty hain

ab to pakro gy paon mery
ab duniya jo dekh aye ho

hum ny diya jo guzry huey halat ka hawala
is ny hans ky kaha raat gai baat gyi

nigga matlb,adaa matlb,zaban mtlb,biyan matlb
bata matlb,kahan jaoun, jahan jaoun wahan matlb

rukhsat huwa to ankh mila kr bi nhi gaya 
wo kiyn gaya yeh bhi bata kr nhi gaya

to asasa hai, meri zindagi ka
tujy khoo doun fikeer ho jaoun

jo dil ko achy lagty hain inko apna kehty hain
munafiq ban kr ristoon ki siyasat hum nhi krty

kis tarh khtm krein in sy dil ka rista
jin sy milny ka bhi sochein bhi to duniya bhool jaen

sirf hum hi hain os kay dil mein
lay doobi humein yeh galat femiyaan

log acha nhi samjty yaar
hum ny acha bi ban kr dekha ha

otara huwa hai zehn sy na cheero zikar yaar
yaad a gaya to phir sy bulaya nhi jaye ga

  

Jazbaat sy khelny jany walon ko kiya maloom

Larkon kay barey maan huwa karty hain



Mein odaas logon ko hansa deta hoon

Mujse apny jesy log dekhay nahi jaty



Zindagi kay har muqaam mein alaag hona parta hai

Logon kay samney hasna aur akeely mein roona parta hai



Ankhon pr diyaan doo gaayyy

Tuu baat adurri reh jaye gyi



Miyasar hoo agar teri ghardan

Mein tujj mein khoon ka katra nah choron



Ho nah jaye hussan ki shan mein ghustakhi

Tum chaly ao tumein dekh kr pyaar ata hai



Meri ankhon mein bhar gaya hai wohi

Haan wohi jis say dil nahi baharta



Kisi aur ki jhaga baqi nahi muj mein

Hum tum sy shuru hokr tum pr hi khtm hoty hain



Teray baad nazar nahi ati mujy koi manzal

Kisi aur kaa hona meray bas ki baat nahi


Yeh hum dono bi ho sakty thy

Phar kiya karoon tum moti both ho



Sun meri shezadi mein hoon tera shezada

Bahoon mein lay kay tujy mein karta hoon wahda



Ibadataan tum say mohabbat ki hai

Husalaa ho tu bola do mujy



Is qadar kasis hai tumari in adaoun mein

Hum agar tum hoty to khud say ishaq kar lety



Nasha kiya hota hai tujy kiya pata………..

Kabhi yaar kay labon pr lab rakh kr to dekh



Kon marta hai suraat pay…………

Hum to unkay honton pr fida hain



Bohout mashoor thi kahaniyaan meri anaa ki

Bas phir tujse mohabbat hogi………………………



Yaani ab log batain gy mein osy kesy chaoun?

Wo meri hai meri marzi, mein osy jesy chaoun



Tum chaa kar bhi judaa ho nahi sakty

Meri rag rag mein other chuky hoo tm



Is qadaar oski  justajoo hai mujy

Jesy duniya mein wo akhaari larki ho



Badan ki qurbat ko mil jaty hain log hazaroon

Mein ne ik sakhas chunah hai sirf muhabat ky liye



Mein kiya kahoun kay iska sath kesaa hai

Wo ik sakhas purii kainat jesaa hai



Dil hoty jo mery seenay mein doo

Dosra dil bi mein tumein deta torney ko



Mein warta hoon jaan is par

Wo is qadaar ladli hai meri



Ap kay hont kitny naram o nazaak hain

Tabeeb nay kaha hai naraam ghazaa khaney ko



Qareeb ao okay bhar lean tumein nigaoon mein

Tumein sameet lean in be karaar bahoun mein



Sath araab muskharton mein

Mujy pasand haii terra muskurana



Bakhais dena ishaq mein hamari ghustakhiyaan

Dil hi qabuu mein nahi to hum kiya karein



Agar kisi ko chahoo to is tarh chahao

Wo zinda to rahey magar sirf tumry liye



Awaaz day kaar dekh loo shahid wo mil hi jayee

Warna yeh umer bhar ka safar raigaah too hai



Tumein lag ra hai kay mein tumein choom loon ga

Haan haan mein bi yehi soch raha hoon


Humein kiya maloom tha ishaq hota hai kiya

Bas ik tum mily aur zindagi muhabbat ban gayi 

Post a Comment

0 Comments